RSS

Bibi Khadija tul Kubra (AS)

Syedi-o-Murshidi Aaqai-o-Maulai Sadar u s Sadoor Qutub ul Aqataab Huzoor Aala Hadrat Allama Syed Shah Zaheer ul Hasan Jilani ChandPuri Hasni Al Hussaini (RA)

Hadrat Khudaijah tul Kubrah Aleihi salatowassalaam, Salaam ALLAHu Ta’ala alehi

By: His Excellency Hazrat Shah Syed Khurshid Jilani (Damat Barakatuhum ul Aaliya)

11th Ramadan ul Mubarak Yaum-e-Hadrat Khudaijah tul Kubrah Aleihi salatowassalaam, Salaam ALLAHu Ta’ala alehi

Hadrat Khudaijah Binto Khuwailad A.S Ibn Asaad Qurshia hein, Khudaijah Aap ka ism Paak. Chalees Saal ki umer mein Aap Huzoor Sallallahu alehi wassallam key Nikah mein ayein jaab key Huzoor Ki Umer-e-Paak 25 Saal ki thee, Huzoor Sallallahau aleihi wassallam ka ye Phela Nikah tha. Saab sey p…ehley Huzoor Sallallahu aleihi wassallam pay Aap imaan layein. Hijrat sey teen saal pehley 11 Ramadhan ko Aap ka Wisaal hoa. Baad Zahoor-e-Nabuwaat key aap 10 Saal Huzoor Sallallahu aleihi wassallam ki khidmat mein rahein, 65 Saal ki Umar paee. Pachees Saal Huzoor Sallallahu alehi wassallam key saath rahein, Muqaam-e-Hajoon yani Jannat-e-Maula mein Qabar Shareef hey. Aap Tijaraat keree thee, Quraish key umara or bohaat daulaat mandoo mein shumaar hota tha aap ka.

Riwayat hey Hadrat Abu Huraira Sey Farmatein hein key Jibraeel Nabi Sallallahu aleihi wassallam ki khidmat mein hazir hoey arz kia Ya Rasool ALLAH Sallallahu aleihi wassallam Ye Khudaijah Aa rahe hein in key saath bartan hey jis mein salan or kana hey to jab wo Aap key paas ayein to unhein un key Raab ka Salaam or mera Salaam Farmaein or unhein Jannat key us ghar ki basharat dey dein jo aik moti ka hey na us mein shoor hey na koi takleef. ( Bukhari Shareef, Muslim Shareef)
Subhaan ALLAH kia Shaan hey Aap ki, ALLAH Tabarak wa Ta’ala Salaam bheij rahein hein Jibraeel key zariey or Jibraeel Aleissalaam bhi Salaam Bheij Rahein hein. Jaab Raab un per Salaam bheij dey to Salamatee ka kia kehney, Subhaan ALLAH.

Riwayat hey Hadrat Aisha R.A sey Farmatein hein key mein Nabbi Sallallahu aleihi wassallam ki azwaaj paak mein sey kissi per intni ghairat na ki jitni Janab Khudaijah per ghairat ki, halankey mein ne unhein deka na tha lakin Huzoor in ka bohat zikr kertey they, bohat dafa bakree zibha kertey phir us key aza kaat tey phir wo janab Khudaijah ki sahaleon mein bhej detey they, to mein kabhi Huzoor Sallallahu alehi wassallam sey keh deti key goya Khudaijah key siwa dunia mein koi aurat hi na theen to Aap Sallallahu alehi wassallam Farmatey wo aisi theen, wo aisi theen or un sey meri aulaad hoi. (Bukhari Shareef, Muslim Shareef)

Iss Hadees Paak sey ham ko kuch sabaaq hasil hoey hein, aik to Hadrat Aisha R.A Farma rahein hein key Ghairaat ki, yeehan matblab ghairaat sey Sharam-O-Haya ba mani Hasaad nahi balkey yehaan Rashk hey, or deeni kamoon mein Rashk jaiz hey, Hadrat Aisha R.A ney Hadrat Khudaijah R.A ki mehboobiat dekh ker Rashk Farmaya key mein bhi Huzoor Sallallahu alehi wassallam ki aisee hee mehbooba hotee meri bhi issi terha tareef Farmatey Jaisi in ki Farmatey hein. Jaab Aaap unki bohaat tareef suntee to Farmatein goya unkey alawa koi aurat nahi hey dunia mein, uskey jawab mein Huzoor Sallallahu aleihi wassallam Farmatey key wo aise theen wo aise thee, Wo Aisee theen key matlab per ghour karein to pata chalta hey key wo bohat roza daar, tahajud guzaar, Hadrat Ali Karam ALLAHu Wajhu key alawa wohi aik akelee kahtoon hotein jo Huzoor Sallallahu aleihi wassallam key peechey namaz pertein, meri bohat khidmat guzaar, meri tanhaee ki sathi meri ghamgusaar, ghaar hira key chiley mein meri madadad gar or meri saree aulaad unheen sey hey..Yaad rahey key Hadrat Khudaijah R.A bohat reham dil Mominoo ki maan hein, yeteemo, bewaoo or miskeeno per un ki behad nazar-e-karam hoti thee issi wajeh sey un ka ghar mashoor tha jo bhi muflis hota be dareigh waha chala jata uski hajit poori ki jatee, Unhoon ney apni saree daulat Islaam ki khatir luta dee or islaam ki khatir bohat duk or dard jheley, akhir mein jaab saab khatam ho gaya to Sabr or Shukar kia, Koen na hoon Janab-e-Syyeda aise apni Maan jaisi, or keon na hoon un key Nawasey Hadrat Hasnain A.S Aisey unki Walida or unki Nani Jaan aisi Subhaan ALLAH, ham or hamarey maan baap qurbaan Aisi sakhawaat key. Doosri baat ghaor talab hey key Huzoor Sallallahu aleihi wassallam bohaat dafa, yani aksar Hadrat Khudaijah R.A ki taraf sey bakri zibha Farmatey unhein sawaab pohchaney key liey or us ka ghoasht un ki sahaleon mein taqseem Farmatey. is sey pata chala key mayyat ki taraf sey qurbani kerna or uska hadya yani sawaab us ko pohchana jaiz hey balkey Sunnat Rasool ALLAH Hey, phir Mayyat key naam ka kana us key doostoon or azizooon ko dena behter hey keon key us sey mayyat ko dohree khoshi hoti hey, aik to sawaab pohanchney ki doosree us key doostoon ko rishadaroo ki imdaad honey ki. ALLAH Tabarak wa Ta’ala hamein taufeeq dein key apney Walaidein or Buzurgoo ko hadiaat paish kertey rahein or us ki barkatein or sawaab unko milta rahein Rasool ALLAH Sallallahu aleihi wassallam key sadkey un key tufail or ALLAH Ta’ala key karam or fazal sey. AMEEN

http://www.facebook.com/Syed.Khurshid.Jilani

Leave a comment